aanā thā jise aaj vo aayā to nahīñ hai
ye vaqt badalne kā ishārā to nahīñ hai
dāvat de kabhī kyuuñ vo mohabbat se bulā.e
dariyā se mirī pyaas kā rishta to nahīñ hai
ye kaun gayā hai ki jhapaktī nahīñ āñkheñ
raste meñ vo Thahrā huā lamha to nahīñ hai
hañstā huā chehra hai damaktā huā paikar
guzrā huā ye merā zamāna to nahīñ hai
āñkhoñ ne abhī niiñd kā dāman nahīñ chhoḌā
ḳhvāboñ se bharosa abhī TuuTā to nahīñ hai
dariyā meñ sar-e-shām hai Duubā huā sūraj
din-bhar kā musāfir koī pyāsā to nahīñ hai
chhoḌ aa.e ho jis ke liye āñchal kī ghanī chhāñv
is shahr meñ vo dhuup kā TukḌā to nahīñ hai
raste meñ 'fahīm' us kī tabī.at kā bigaḌnā
ghar jaane kā ik aur bahāna to nahīñ hai