shaam ḳhāmosh hai peḌoñ pe ujālā kam hai
lauT aa.e haiñ sabhī ek parinda kam hai
dekh kar suukh gayā kaise badan kā paanī
maiñ na kahtā thā mirī pyaas se dariyā kam hai
ḳhud se milne kī kabhī gaañv meñ fursat na milī
shahr aa.e haiñ yahāñ milnā-milānā kam hai
aaj kyuuñ āñkhoñ meñ pahle se nahīñ haiñ aañsū
aaj kyā baat hai kyuuñ mauj meñ dariyā kam hai
apne mehmān ko palkoñ pe biThā letī hai
muflisī jāntī hai ghar maiñ bichhaunā kam hai
bas yahī soch ke karne lage hijrat aañsū
apnī lāshoñ ke muqābil yahāñ kāñdhā kam hai
dil kī har baat zabāñ par nahīñ aatī hai 'fahīm'
maiñ ne sochā hai ziyāda use likkhā kam hai