jis ne chhupā ke bhuuk ko patthar meñ rakh liyā
duniyā ko is faqīr ne Thokar meñ rakh liyā
ahl-e-junūñ ko apne junūñ se vo ishq thā
dil ne jagah na dī to use sar meñ rakh liyā
nanhā koī parind uḌā jab to yuuñ lagā
himmat ne āsmān ko shahpar meñ rakh liyā
āñkhoñ ne āñsuoñ ko ajab ehtimām se
motī banā ke dil ke samundar meñ rakh liyā
ham ne tumhārī diid ke lamhe sameT kar
phir se purāne ḳhvāb kī chādar meñ rakh liyā
kyā Dar samā gayā ki hamāre harīf ne
tum jaise shahsavār ko lashkar meñ rakh liyā
kuchh baat thī jo ham ne sitāroñ ke darmiyāñ
un āñsuoñ ko raat ke manzar meñ rakh liyā
āñkheñ thakīñ to dil ne sahārā diyā 'fahīm'
ham ne kisī kā aks na.e ghar meñ rakh liyā