apne qadam kī chaap se yuuñ Dar rahe haiñ ham
maqtal kī samt jaise safar kar rahe haiñ ham
kyā chāñd aur tāroñ ko ham jānte nahīñ
ai āsmān vaalo zamīñ par rahe haiñ ham
mushkil thā sat.h-e-āb se ham ko khañgālnā
bāhar nahīñ the jitnā ki andar rahe haiñ ham
kal aur koī vaqt kī āñkhoñ meñ ho to kyā
ab tak to har nigāh kā mehvar rahe haiñ ham
dair-o-haram se aur bhī aage nikal ga.e
haañ aql kī hudūd se bāhar rahe haiñ ham
ai ham-safar na pūchh masāfat nasīb se
tū jāntā hai kitne dinoñ ghar rahe haiñ ham
bāhar na aa.e ham bhī anā ke hisār se
is jañg meñ tumhāre barābar rahe haiñ ham
jharnoñ kī kyā bisāt kareñ guftugū 'fahīm'
dariyā gire jahāñ vo samundar rahe haiñ ham