Faheem Jogapuri

gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se

Faheem Jogapuri

ġham bhī sadiyoñ se haiñ aur dīda-e-tar sadiyoñ se
ḳhāna-barbādoñ ke ābād haiñ ghar sadiyoñ se
dar-ba-dar un kā bhaTaknā to na.ī baat nahīñ
chāhne vaale to haiñ ḳhāk-basar sadiyoñ se
koī mushkil na masāfat hai na raste kī thakan
asl zanjīr hai sāmān-e-safar sadiyoñ se
tujh se milne ke sivā saarī duā.eñ gulshan
ik yahī shāḳh hai be-barg-o-samar sadiyoñ se
kyā musāfir haiñ ye raste meñ bhaTakne vaale
jaise be-samt ghaTāoñ kā safar sadiyoñ se
kis ne dekhī hai zamāne meñ vafā kī ḳhushbū
ye kahānī hai kitāboñ meñ magar sadiyoñ se
har zamāne meñ ḳhushāmad ne sadārat kī hai
kāmrāñ hotā rahā hai ye hunar sadiyoñ se
mā-sivā husn kahīñ ishq ne dekhā na 'fahīm'
ek hī samt ko jāmid hai nazar sadiyoñ se
Top Urdushayar.com