dostī meñ na dushmanī meñ ham
kyā nazar ā.eñge kisī meñ ham
kyuuñ sajāte haiñ ḳhvāb sadiyoñ ke
chand lamhoñ kī zindagī meñ ham
sair karte haiñ donoñ aalam kī
apne ḳhvāboñ kī pālkī meñ ham
jab tumhārā ḳhayāl aatā hai
Duub jaate haiñ raushnī meñ ham
koī āvāz kyuuñ nahīñ detā
Dagmagāte haiñ tīrgī meñ ham
pyaas ham ko kahīñ satātī hai
tairte haiñ kahīñ nadī meñ ham
raat hotī to koī baat na thī
luT ga.e din kī raushnī meñ ham
apne maazī se baat karte haiñ
terī yādoñ kī chāñdnī meñ ham