ye faqīrī hai qanā.at ke sivā kyā jaane
kaun kyā de ke gayā dast-e-duā kyā jaane
aag tan meñ to lagā lenā koī khel hai kyā
kitne majbūr diye hoñge havā kyā jaane
us ko karnā hai tah-e-ḳhāk so kartī jaa.e
kaun hai sīm-badan mauj-e-balā kyā jaane
vo to dariyāoñ ko sairāb kiye jaatī hai
sūkhe khetoñ kī zarūrat ko ghaTā kyā jaane
ashk āñkhoñ meñ bhare hoñ to nazārā kaisā
kāñptā haath koī band-e-qabā kyā jaane
koī zinda na bache vo to yahī chāhte haiñ
kitnā suntā hai ḳhudāoñ kā ḳhudā kyā jaane
us se pahle jo kabhī chūmte phūloñ ko 'fahīm'
kaun sā ġham hai hameñ bād-e-sabā kyā jaane