yuuñ qaid ham hue ki havā ko taras ga.e
apne hī kaan apnī sadā ko taras ga.e
the kyā ajiib log ki jiine ke shauq meñ
āb-e-hayāt pī ke havā ko taras ga.e
kuchh roz ke liye jo kiyā ham ne tark shahr
bashindagān-e-shahr jafā ko taras ga.e
murda adab ko dī hai na.ī zindagī magar
bīmār ḳhud paḌe to davā ko taras ga.e
ḳhālī jo apnā jism lahū se huā 'qamar'
kitne hī haath rañg-e-hinā ko taras ga.e