ḳhud kī ḳhātir na zamāne ke liye zinda huuñ
qarz miTTī kā chukāne ke liye zinda huuñ
kis ko fursat jo mirī baat sune zaḳhm gine
ḳhaak huuñ ḳhaak uḌāne ke liye zinda huuñ
log jiine ke ġharaz-mand bahut haiñ lekin
maiñ masīhā ko bachāne ke liye zinda huuñ
ruuh āvāra na bhaTke ye kisī kī ḳhātir
saare rishtoñ ko bhulāne ke liye zinda huuñ
ḳhvāb TuuTe hue rūThe hue lamhe vo 'qamar'
bojh kitne hī uThāne ke liye zinda huuñ