Qamar Iqbal

bichhaD gaya hai kahan kaun kuchh pata hi nahin

Qamar Iqbal

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1944-1988
bichhaḌ gayā hai kahāñ kaun kuchh pata hī nahīñ
safar meñ jaise koī apne saath thā hī nahīñ
kisī se rabt baḌhā.eñ tū mat ḳhafā honā
ki dil meñ ab tirī yādoñ kā silsila hī nahīñ
sab apne apne masīhā ke intizār meñ haiñ
kisī kā jaise zamāne meñ ab ḳhudā hī nahīñ
ik umr kaT ga.ī kāġhaz siyāh karte hue
qalam ko apne jo likhnā thā vo likhā hī nahīñ
'qamar' vo shaḳhs hamāre nagar meñ kyā aayā
butoñ ko bhī hai gila koī pūjtā hī nahīñ
Top Urdushayar.com