Qamar Iqbal

duriyan sari simaT kar rah gain aisa laga

Qamar Iqbal

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1944-1988
dūriyāñ saarī simaT kar rah ga.iiñ aisā lagā
muuñd lī jab aañkh to siine se koī aa lagā
kis qadar apnā.iyat us ajnabī bastī meñ thī
go ki har chehra thā begāna magar apnā lagā
paas se ho kar jo vo jaatā to ḳhush hote magar
us kā katrā kar guzarnā bhī hameñ achchhā lagā
us ghaḌī kyā kaifiyat dil kī thī kuchh ham bhī suneñ
tū ne pahlī baar jab dekhā hameñ kaisā lagā
jis qadar gunjān ābādī thī us ke shahr kī
jaane kyuuñ har shaḳhs ham ko is qadar tanhā lagā
jism kā ātish-kada le kar to pahuñche the vahāñ
haath jab us kā chhuā to barf se ThanDā lagā
jab kisī shīrīñ-dahan se guftugū kī ai 'qamar'
apnā lahja bhī hameñ us kī tarah mīThā lagā
Top Urdushayar.com