ek dīvār agar ho to yahāñ sar māreñ
ek dīvār ke pīchhe haiñ ka.ī dīvāreñ
ham ko lauTā de hamārā vo purānā chehra
zindagī tere liye ruup kahāñ tak dhāreñ
paas kuchh apne bachā hai to yahī ik lamha
āḳhirī daav hai jīteñ ki ye baazī hāreñ
tum kabhī aag meñ pal bhar to utar ke dekho
kaun kahtā hai ki sho.aloñ meñ nahīñ mahkāreñ
qaid haiñ kaun se zindāñ meñ na jaane ham log
roz ūñchī huī jaatī haiñ 'qamar' dīvāreñ