Qamar Iqbal

jina hai sab ke sath ki insan main bhi hun

Qamar Iqbal

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1944-1988
jiinā hai sab ke saath ki insān maiñ bhī huuñ
chehre badal badal ke pareshān maiñ bhī huuñ
jhoñkā havā kā chupke se kānoñ meñ kah gayā
ik kāñpte diye kā nigahbān maiñ bhī huuñ
inkār ab tujhe bhī hai merī shanāḳht se
lekin na bhuul ye tirī pahchān maiñ bhī huuñ
āñkhoñ meñ manzaroñ ko jab ābād kar liyā
dil ne kiyā ye tanz ki vīrān maiñ bhī huuñ
apne sivā kisī se nahīñ dushmanī 'qamar'
har lamha ḳhud se dast o garebān maiñ bhī huuñ
Top Urdushayar.com