sab pighal jaa.e tamāsha vo idhar kab hogā
mom ke shahr se sūraj kā guzar kab hogā
ḳhvāb kāġhaz ke safīne haiñ bachā.eñ kaise
ḳhatm is aag ke dariyā kā safar kab hogā
jis kā naqsha hai mire zehn meñ ik muddat se
ghar vo tāmīr se pahle hī khañDar kab hogā
mere kho.e hue mahvar pe jo pahuñchā.e mujhe
ab lahū meñ mire paidā vo bhañvar kab hogā
sabz rakkhā hai jise maiñ ne lahū de ke 'qamar'
mehrbāñ dhuup meñ āḳhir vo shajar kab hogā