Qamar Iqbal

hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai

Qamar Iqbal

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1944-1988
hañstī huī tanhā vo darīche meñ khaḌī hai
laḌkī hai ki tarshe hue hīroñ kī laḌī hai
sone kā ye andāz hai ḳhafgī kī alāmat
chehra kiye dīvār kī jānib vo paḌī hai
kohre meñ ghirī shaam kī Dolī se utar kar
tanhā.ī kī chaukhaT pe tirī yaar khaḌī hai
dil umr ke qānūn kā qaa.il nahīñ varna
ehsās use bhī hai ki vo mujh se baḌī hai
ā.ankhoñ meñ tire ġham kā hai hañstā huā mausam
dil meñ tirī yādoñ kī harī fasl khaḌī hai
pābandi-e-auqāt huī us se na hogī
har chand ki nāzuk se kalā.ī meñ ghaḌī hai
maqtūl ko kar aa.e jahāñ dafn 'qamar' log
talvār bhī qātil kī vahīñ par to gaḌī hai
Top Urdushayar.com