maiñ hī anjām maiñ hī ibtidā huuñ
thamā vaqfa huuñ maiñ hī silsila huuñ
mizāj-e-dil mirā gosha-guzīñ hai
zamāne kī nazar meñ nak-chaḌhā huuñ
fasāna nisf hī zāhir hai merā
hañsī meñ ġham chhupātā masḳharā huuñ
jo ġhurbat meñ bhī dil ko de ra.īsī
maiñ muflis kā vahīñ ik hausla huuñ
kitāboñ meñ jo yakjā ho na paayā
vo daa.im zindagī kā tajraba huuñ