baat dil kī koī an-kahī rah ga.ī
hoñTh chup aur nazar ye jhukī rah ga.ī
ḳhat kā har harf ham ne jalāyā magar
lafz-dar-lafz vābastagī rah ga.ī
thā charāġhoñ sā raushan kabhī ghar mirā
saath chhūTā to bas tīrgī rah ga.ī
dāstāñ ġham kī shā.ir bayāñ kar gayā
lafz kī dekh jādūgarī rah ga.ī
umr bhar mashġhala jis ko ham ne kahā
band safhoñ meñ vo shā.irī rah ga.ī
bhīgī in palkoñ se ye bayāñ ho gayā
koī ḳhvāhish kahīñ ik dabī rah ga.ī
yuuñ to hāsil jahāñ meñ huā sab magar
ye kitāb-e-tamannā khulī rah ga.ī
ek maiñ ek tum aur zamāna ye ik
roz dīvār koī khaḌī rah ga.ī