Rozina Taranekar Dighe

KHwab ki tabir ka qissa nirala ban gaya

Rozina Taranekar Dighe

Dewas, Madhya Pradesh, India

1979
ḳhvāb kī ta.abīr kā qissa nirālā ban gayā
ḳhud-farebī zindagī kā ab salīqa ban gayā
daf.atan ik muskurāhaT tere lab pe aa.ī hai
chāhatoñ kā merī ab ye ik Thikāna ban gayā
chhū ga.ī naġhmoñ ko terī ye mohabbat haule se
dekh andāz-e-bayāñ ye shā.irāna ban gayā
bādaloñ sā aks terā dil pe Thahrā der tak
bhiig kar yādoñ kī bārish meñ sharāra ban gayā
jaam armānoñ ke chhalke āñkhoñ ke paimāne se
bahte ashkoñ se mirā gahrā ye naata ban gayā
qaid hai biite vo lamhe yādoñ ke andāz meñ
roz un se tazkira ġham kā sahārā ban gayā
Top Urdushayar.com