ye jo insāñ ḳhudā kā hai shahkār
us kī qismat pe hai ḳhudā kī maar
marg-e-dushman kī aarzū hī sahī
dil se nikle kisī tarah to ġhubār
naam badnām ho chukā hazrat
kījiye ab to jurm kā iqrār
hogā donoñ kā ḳhātma bil-ḳhair
ab tasādum meñ hai na jiit na haar
bik chukī jins-e-nādir-o-nāyāb
ho chukī ḳhatm garmī-e-bāzār
ittifāqī hai do diloñ kā milāp
kaun suntā hai varna kis kī pukār
husn vāloñ kā pūchhnā kyā hai
jitne dilkash haiñ utne dil-āzār
jiinā marnā hai ban paḌe kī baat
na ye āsān aur na vo dushvār
kis ko parvā ki in pe kyā guzrī
zindagī se jo ho ga.e bezār
multafit ḳhud na ho agar koī
aah be-sūd aur fuġhāñ be-kār
pur-sukūñ niiñd chāhte ho 'nazīr'
saath laanā thā qismat-e-bedār