kis quvvat-e-be-dard kā iz.hār hai duniyā
har dil ko gilā hai ki dil-āzār hai duniyā
log is ko kahā karte haiñ achchhā bhī burā bhī
kyā ḳhuub ki donoñ kī sazā-vār hai duniyā
miltā hī nahīñ koī dil-e-zār kā pursāñ
mere liye ik mahfil-e-aġhyār hai duniyā
har sañg meñ duniyā ko nazar aatā hai ik but
aur aise har ik but kī parastār hai duniyā
ye hashr ye hañgāma nahīñ aaj pe mauqūf
sach ye hai ki sadiyoñ hī se bīmār hai duniyā
nekī koī kartā ho to karvaT nahīñ letī
niyyat ho gunāhoñ kī to bedār hai duniyā
kis tarah kareñ us kī mohabbat pe bharosā
ai dost qayāmat kī adākār hai duniyā
is tarah bhī duniyā kā gilā karte haiñ goyā
ma.asūm hai insān gunahgār hai duniyā
duniyā meñ burā vaqt to aatā hai sabhī par
ab ḳhud hī bure vaqt se do-chār hai duniyā
rah rah ke barastī haiñ adāvat kī ghaTā.eñ
lagtā hai ki girtī huī dīvār hai duniyā
kyā kahiye use kuchh bhī samajh meñ nahīñ aatā
ik vādī-e-pur-ḳhār ki gulzār hai duniyā
jannat bhī usī meñ hai jahannam bhī usī meñ
gahvāra-e-har-ishrat-o-āzār hai duniyā
Duube hue tāroñ kā ye mātam nahīñ kartī
chaḌhte hue sūraj kī parastār hai duniyā