Nazeer Siddiqui

har shaKHs ban gaya hai KHuda tere shahr mein

Nazeer Siddiqui

Chhapra, Bihar, India

1930-2001
har shaḳhs ban gayā hai ḳhudā tere shahr meñ
kis kis ke dar pe māñgīñ duā tere shahr meñ
mujrim haiñ saare ahl-e-vafā tere shahr meñ
kyā ḳhuub hai vafā kā sila tere shahr meñ
ahl-e-havas ke naam se haiñ rū-shanās ḳhalq
miltī hai jin ko dād-e-vafā tere shahr meñ
rakhte haiñ log tohmateñ apne nasīb par
karte haiñ yuuñ bhī terā gilā tere shahr meñ
apnoñ pe e'timād na ġhairoñ pe e'timād
ye kaisī chal paḌī hai havā tere shahr meñ
hotā hai kis maraz kā mudāvā tire yahāñ
miltī hai kis maraz kī davā tere shahr meñ
rakhte haiñ har jazā ko qayāmat pe munhasir
dete haiñ har ḳhatā kī sazā tere shahr meñ
Top Urdushayar.com