Nazeer Siddiqui

KHud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi

Nazeer Siddiqui

Chhapra, Bihar, India

1930-2001
ḳhud-farebī ne be-shak sahārā diyā aur tabī.at ba-zāhir bahaltī rahī
ek kāñTā sā dil meñ khaTaktā rahā ek hasrat sī dil ko masaltī rahī
apne ġham ko hamesha bhulāyā kiye kasrat-e-kār meñ sair-e-bāzār meñ
al-ġharaz kasmapursī ke aalam meñ bhī zinda rahne kī sūrat nikaltī rahī
aql kī bartarī dil ne maanī to kyā us ne chāhā kabhī aql kā mashvara
dil ko jis tarah chalnā thā chaltā rahā aql har gaam par haath maltī rahī
bazm-e-hastī meñ aane ko aa.e sabhī ahl-e-dil ahl-e-dīñ shā.ir-o-falsafī
aadmī ko jo karnā thā kartā rahā aur duniyā ba-dastūr chaltī rahī
is kī sūrat jo chāho badal jā.egī jaise sāñche meñ Dhāloge Dhal jā.egī
koī sāñcha yahāñ harf-e-āḳhir nahīñ zindagī to hamesha badaltī rahī
aadmī saath rahne pe majbūr hai phir bhī ik dūsre se bahut duur hai
dushmanoñ se to hotī bhalā sulh kyā jabki ḳhud dostoñ se bhī chaltī rahī
Top Urdushayar.com