chashm-e-nam kuchh bhī nahīñ aur sher-e-tar kuchh bhī nahīñ
ab yahāñ ḳhūn-e-jigar naqsh-e-hunar kuchh bhī nahīñ
hai sabhī kuchh mehrbāñ nā-mehrbāñ lafzoñ kā pher
zindagī meñ mo'tabar nā-mo'tabar kuchh bhī nahīñ
dil se dil ko raah kaisī hai ye husn-e-ittifāq
varna duniyā meñ mohabbat kā asar kuchh bhī nahīñ
jis hunar ko log samjheñge kabhī la.al-o-gohar
aaj ke bāzār meñ aisā hunar kuchh bhī nahīñ
ahl-e-īmāñ kā aqīda hai ḳhudā ke baab meñ
hai vahī sab kuchh jo tā-hadd-e-nazar kuchh bhī nahīñ
apne apne fā.ede kī jañg jaarī hai yahāñ
chashm-e-bīnā meñ nizām-e-ḳhair-o-shar kuchh bhī nahīñ
ai sukūt-e-lā-makāñ meñ baiThne vaale batā
kyā jahān-e-chār-sū kā shor-o-shar kuchh bhī nahīñ
har taraf se zulmatoñ kā ek sail-e-be-īmāñ
is jahāñ meñ hāsil-e-fikr-o-nazar kuchh bhī nahīñ