havas kī aag bujhī dil kī tishnagī hai vahī
sukūn-e-jāñ se tahī merī zindagī hai vahī
dil-e-fasurda meñ ehsās hī nahīñ baaqī
jahān-e-kohna meñ varna shaguftagī hai vahī
jamāl aur junūñ ho chuke zamāna-shanās
niyāz-o-nāz meñ kahne ko sādgī hai vahī
koī qusūr to sābit na ho sakā lekin
jo bad-gumāñ the unheñ mujh se barhamī hai vahī
vo har qadam ke asar se hai bā-ḳhabar phir bhī
rah-e-hayāt meñ insāñ kī kaj-ravī hai vahī