badal ga.ī hai kuchh aisī havā zamāne kī
ki aam ho ga.ī aadat nazar churāne kī
ye baat kaash samajhte sabhī chaman vaale
chaman luTā to nahīñ ḳhair āshiyāne kī
unheñ ḳhabar nahīñ vo ḳhud bhī āzmā.e ga.e
jinheñ thī fikr bahut mujh ko āzmāne kī
koī kalī na rahī phir bhī muskurā.e baġhair
sazā agarche muqarrar thī muskurāne kī
huā yahī ki vo takmīl tak pahuñch na sakā
bahut latīf thī tamhīd jis fasāne kī
ik aap hī pe nahīñ munhasir janāb-e-'nazīr'
baḌe baḌoñ ko havā lag ga.ī zamāne kī