ā.ankhoñ meñ be-ruḳhī nahīñ dil meñ kashīdgī nahīñ
phir bhī jo dekhiye to ab pahlī sī dostī nahīñ
rasm-e-vafā kā iltizām ahd-e-vafā kā ehtirām
sheva-e-āshiqī to hai fitrat-e-āshiqī nahīñ
ham se shikāyateñ bajā ham ko bhī hai magar gila
pahle se ham nahīñ agar pahle se aap bhī nahīñ
bazm-e-tarab meñ dosto dekh rahā huuñ maiñ yahī
raqs meñ aadmī to haiñ raqs meñ zindagī nahīñ
manzil-o-rāh meñ kabhī itnā to fāsla na thā
rāhbaro ḳhatā-muāf ye koī rāhbarī nahīñ
ilm-o-hunar ke faiz se ilm-o-hunar ke bāvajūd
mahfil-e-zīst meñ 'nazīr' rañg hai raushnī nahīñ