Basheeruddin Raaz

hui muddaten ai dil-e-hazin na payam hai na salam hai

Basheeruddin Raaz

huī muddateñ ai dil-e-hazīñ na payām hai na salām hai
ki usī ko kahte haiñ dostī ki usī kā dostī naam hai
kabhī jaa.e bād-e-sabā udhar to ye kahnā us kī bhī hai ḳhabar
ba-juz ek ġham ke sivā tire jise khānā piinā harām hai
tū sukūn-o-sabr miTā.e jā ġham-e-ishq mujh ko rulā.e jā
ho taḌap taḌap ke sahar mujhe yahī dard-e-dil tirā kaam hai
maiñ dikhā.ūñ kis ko ye hāl-e-dil maiñ sunā.ūñ kis ko ye hāl-e-dil
kahīñ mujh se ḳhāna-ba-dosh ko na qarār hai na qayām hai
mujhe dard tū ne atā kiyā mire mehrbāñ tirā shukriya
banā dard-e-dil tirā zindagī tire dard-e-dil se hī kaam hai
na qarār aa.e kisī tarah mire dard-e-dil tū taraqqī kar
shab-e-ġham taḌapte hī ho sahar shab-e-ġham taḌapne se kaam hai
ye kaisī us kī hai dostī ye batā to mujh ko dil-e-hazīñ
nahīñ jis ko duur kā vāsta use duur hī se salām hai
vo nazar bachā ke chalā gayā maiñ ye 'rāz' kahtā hī rah gayā
zarā jaane vaale ye baat sun ye batā to kyā tirā naam hai
Top Urdushayar.com