Basheeruddin Raaz

mubtala-e-itab hain hum log

Basheeruddin Raaz

mubtalā-e-itāb haiñ ham log
ik asīr-e-azāb haiñ ham log
apne dil ko itaab haiñ ham log
ḳhud sarāsar azaab haiñ ham log
apnī barbādī apne hāthoñ kī
kaise ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
apnā koī bhī to javāb nahīñ
ḳhud hī apne javāb haiñ ham log
kaash nākāmiyāñ hoñ pai-dar-pai
samjho ki kāmyāb haiñ ham log
kah rahī hai jinheñ burā duniyā
vo hī ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
apnī manzil se ham palaT aa.e
aise gumrāh janāb haiñ ham log
aaj duniyā ke sāmne ai 'rāz'
dam-ba-ḳhud lā-javāb haiñ ham log
Top Urdushayar.com