Basheeruddin Raaz

jalwon ka un ke dil ko talab-gar kar diya

Basheeruddin Raaz

jalvoñ kā un ke dil ko talab-gār kar diyā
ai shauq kis balā meñ giraftār kar diyā
ik ho gayā izāfa mirī zindagī meñ aur
tum ne jo dil ko mā.il-e-āzār kar diyā
dil kī mujhe ḳhabar hai na dil ko mirī ḳhabar
milte hī aañkh kyā nigah-e-yār kar diyā
dil-bastagī ke vāste dil ko lagāyā thā
ummīd hasratoñ ne ik āzār kar diyā
rakh lī junūñ ne baat mirī un ke sāmne
har aable se ḳhaar numūdār kar diyā
haiñ saḳhtiyāñ baḌhī huī zindāñ meñ āj-kal
do-gām chalnā bhī mujhe dushvār kar diyā
ye kaisā rog dil ko lagā intizār kā
āñkhoñ ko un kā tālib-e-dīdār kar diyā
kis ne karam kiyā ye mire hāl-e-zār par
is be-ḳhudī-e-ishq se hoshyār kar diyā
maiñ ne chhupāyā laakh magar ashk-e-ġham ne aah
ai 'rāz' rāz-e-shauq kā iz.hār kar diyā
Top Urdushayar.com