dil jo ummīd-vār hotā hai
tīr-e-ġham kā shikār hotā hai
jab tirā intizār hotā hai
dil mirā be-qarār hotā hai
ye hī fasl-e-junūñ kī hai tamhīd
pairahan taar taar hotā hai
aañkh milte hī us sitamgar se
tiir siine ke paar hotā hai
muskurāhaT laboñ pe hai un ke
dil mirā ashk-bār hotā hai
us kā karte haiñ e'tibār ki jo
qābil-e-e'tibār hotā hai
uTh ke pahlū se jā rahā hai koī
kyā ye parvardigār hotā hai
kyā batā.ūñ tirī judā.ī meñ
jo mirā hāl-e-zār hotā hai
shām-e-ġham intizār meñ un ke
maut kā intizār hotā hai
un ke jaane kā naam sun kar 'rāz'
kuchh ajab hāl-e-zār hotā hai