Zahiir Ahmad Taaj

aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha

Zahiir Ahmad Taaj

āsūda-e-mahfil abhī dam bhar na huā thā
vo kaun sā thā vaar jo mujh par na huā thā
chashm-e-sitam-ījād kī vus.at ke muqābil
ye teġh to kyā charḳh-e-sitamgar na huā thā
palkoñ hī pe taḌpā vo mire soz-e-darūñ se
jo ashk abhī baḌh ke samundar na huā thā
jab tak ki na dekhī thī nigāhoñ kī karāmat
maiñ munharif-e-bāda-o-sāġhar na huā thā
jab tak na thā shah-e-rag pe paḌā sāya-e-abrū
maiñ vāqif-e-shīrīnī-e-ḳhanjar na huā thā
kyā jāneñ nazar aayā hai kyā rang-e-mohabbat
itnā kabhī muztar dil-e-muztar na huā thā
ai 'tāj' ajab josh uThā bahr-e-karam meñ
ik harf-e-duā bhī to mukarrar na huā thā
Top Urdushayar.com