nazar ko vus.ateñ de bijliyoñ se āshnā kar de
fasāna tuur kā tajdīd ai jazb-e-rasā kar de
miTā de zauq-e-mahviyyat se ḳhalvat aur jalvat ko
agar tū kar sake dil ko harīm-e-dil-rubā kar de
hijābāt-e-nazar kab tak kahāñ tak dil kī mahrūmī
madad ai shauq nazroñ ko qayāmat-āzmā kar de
banā hai mai-kada ahl-e-havas kī bazm ai saaqī
tirā tark-e-ta.alluq dekhnā jaane na kyā kar de
ba-majbūrī ba-āḳhir ye mujhe kahnā hī paḌtā hai
bahut pur-fan huī duniyā nigāhoñ ko ḳhafā kar de
tire naġhme surūr-o-kaif meñ ai 'tāj' Dhalte haiñ
hadīs-e-husn-o-ulfat ko diloñ kā mudda.ā kar de