Zahiir Ahmad Taaj

naghma ke soz se ayan dil ka gudaz ho gaya

Zahiir Ahmad Taaj

naġhma ke soz se ayaañ dil kā gudāz ho gayā
laakh chhupāyā jazb-e-ishq faash ye raaz ho gayā
bazm meñ mushtahar huī merī hadīs-e-ārzū
shola-e-jāñ bhaḌak uThā naġhma-e-sāz ho gayā
faash na kar sakā koī raaz tire vajūd kā
faash mujhe jo kar diyā faash ye raaz ho gayā
banda-e-be-navā baḌhe jinn-o-malak se thā ajab
lutf-e-karīm kā magar zarra-navāz ho gayā
mere gunāhoñ se sivā rahmateñ haiñ tirī karīm
laakh ḳhatāoñ par bhī tū banda-navāz ho gayā
farhat-e-bandagī milī tābish-e-zindagī milī
dil se jo ek baar maiñ mahv-e-namāz ho gayā
'tāj' niyāz-e-āshiqī rāz-e-numūd-e-husn hai
jis pe ye raaz khul gayā ḳhud hī vo raaz ho gayā
Top Urdushayar.com