Zahiir Ahmad Taaj

kisi ki yaad-e-rangin mein hai ye dil be-qarar ab tak

Zahiir Ahmad Taaj

kisī kī yād-e-rañgīñ meñ hai ye dil be-qarār ab tak
rahīn-e-shauq be-pāyāñ hai chashm-e-intizār ab tak
unheñ apnā batātā hai unheñ apnā samajhtā hai
fareb-e-zindagī hai ye dil-e-dīvāna-vār ab tak
jinheñ ehsās bhī shāyad na ho jazbāt-e-ulfat kā
ye merā saada dil un par hai sau jaañ se nisār ab tak
nahīñ mumkin ki sahrā ko bhulā duuñ lutf-e-manzil meñ
mire paañv ke talve meñ chubhī hai nok-e-ḳhār ab tak
mujhe ādāb-e-ulfat yaad haiñ hañgām-e-vahshat ke
garebāñ chaak hai dāman hai apnā taar taar ab tak
judā un se huā huuñ jurm-e-iz.hār-e-mohabbat meñ
maiñ ik harf-e-tamannā par huuñ yaaro sogvār ab tak
chaman meñ sair-e-gul vo aur maiñ ai 'tāj' kyā din the
bahāreñ aa.iiñ aane ko na aa.ī vo bahār ab tak
Top Urdushayar.com