Zahiir Ahmad Taaj

ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya

Zahiir Ahmad Taaj

ai mirī jān-e-ārzū māne-e-iltifāt kyā
hogā na vaqf-e-dil kabhī kaif-e-tabassumāt kyā
mast-e-nazar agar nahīñ sāġhar-e-dil meñ bāda-rez
bazm-e-navāzishāt kyā daur-e-tavajjohāt kyā
kab se haiñ riñd muntazir chashm-e-karam pe hai nazar
shoḳh nigāh ke liye vaj.h-e-takallufāt kyā
DhūñDtī phirtī hai nazar shāhid-e-bazm-e-nāz ko
us ko magar ḳhabar nahīñ kaif-e-tasavvurāt kyā
husn-e-talab ye hai ki tū us se usī ko maañg le
us ke sivā hayāt kyā maqsad-e-kā.enāt kyā
apne hī dil kī bazm meñ us kā jamāl dekhiye
dīda-e-shauq ke liye aur harīm-e-zāt kyā
shauq-o-talab se 'tāj' ab ālam-e-iztirāb hai
ek zarā se dil meñ ye shorish-e-kā.enāt kyā
Top Urdushayar.com