dil dekh rahe haiñ vo jigar dekh rahe haiñ
chhoḌe hue tīroñ kā asar dekh rahe haiñ
har roz jafā.eñ haiñ na.ī aur nayā ġham
sau sau tarah āshiq kā jigar dekh rahe haiñ
har lamha zamāne kā hai hañgāma-ba-dāman
paidā hai qayāmat kā asar dekh rahe haiñ
ai gardish-e-daurāñ tire jāñ-soz nazāre
dekhe nahīñ jaate haiñ magar dekh rahe haiñ
ham mai-kade meñ jā ke hue tishna ziyāda
badlī huī saaqī kī nazar dekh rahe haiñ
āshob kā ai 'tāj' hai ye haal ki har roz
milte hue miTTī meñ guhar dekh rahe haiñ