Zahiir Ahmad Taaj

gesu-e-sher-o-adab ke pech suljhata hun main

Zahiir Ahmad Taaj

gesū-e-sher-o-adab ke pech suljhātā huuñ maiñ
zulmat-e-shab meñ payām-e-sub.h-e-nau laatā huuñ maiñ
barbat-e-dil ke mire naġhme nahīñ sho.ale haiñ ye
garmī-e-ehsās se duniyā ko garmātā huuñ maiñ
is jahān-e-āb-o-gil par Dāltā huuñ jab nazar
zindagānī ko sarāsar kashmakash paatā huuñ maiñ
kyuuñ nahīñ insāñ samajhtā uns ko rāh-e-hayāt
sham.a kī mānind is ġham meñ ghulā jaatā huuñ maiñ
sho.ala-e-ulfat madad ai chāra-sāz-e-ġham madad
sard-mehrī se jahāñ kī bujh ke rah jaatā huuñ maiñ
ye kitāb-e-zindagī bhī chīstāñ se kam nahīñ
har varaq meñ dāstāñ-dar-dāstāñ paatā huuñ maiñ
qadr-dānī kī umīdeñ kam-nigāhī ke gile
aadmī ko aadmī se be-ḳhabar paatā huuñ maiñ
dekhnā jūd-o-karam un kā ḳhudā.ī baḳhsh deñ
apnā dāman dekh kar ai 'tāj' sharmātā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com