Zahiir Ahmad Taaj

zabt-e-gham mushkil hai aur mushkil hai mushkil ka jawab

Zahiir Ahmad Taaj

zabt-e-ġham mushkil hai aur mushkil hai mushkil kā javāb
nāseh-e-mushfiq tire bas kā nahīñ dil kā javāb
aa.ine meñ dekhte haiñ husn-e-kāmil kā javāb
koī pūchhe kyā vo deñge jazba-e-dil kā javāb
alvidā.a kah kar jo dete haiñ mire dil kā javāb
aa paḌī mushkil ki kyā ho aisī mushkil kā javāb
ḳhāk-e-parvāna ho shāyad zabt-e-kāmil kā javāb
sham.a ho saktī hai kab mere bujhe dil kā javāb
ai mire jazb-e-mohabbat terī ye be-tābiyāñ
aur ḳhamoshī hī ḳhamoshī jān-e-mahfil kā javāb
ik savāl-e-shauq par us ne hameñ ghāyal kiyā
hashr ke din dekhnā hai kyā ho qātil kā javāb
naġhmagī inkār kī bhī hai surūr-afzā magar
ab kahāñ hai lan-tarānī husn-e-kāmil kā javāb
un se āñkheñ chaar kar ke 'tāj' maiñ khoyā gayā
ik bharī mahfil meñ be-ḳhud kar gayā dil kā javāb
Top Urdushayar.com