Zahiir Ahmad Taaj

mujh par surur chha gaya baada-e-dil-nawaz se

Zahiir Ahmad Taaj

mujh par surūr chhā gayā bāda-e-dil-navāz se
duniyā mirī badal ga.ī ek nigāh-e-nāz se
aañkh meñ gar na aa sake dil to maqām hai tirā
ḳhalvat-e-dil meñ aa kabhī apne harīm-e-nāz se
sāqī-e-mehrbāñ pilā bāda-e-ma.arifat-asar
mast banā ke de ḳhabar husn-e-azal ke raaz se
dekh nigāh-e-shauq se husn-o-jamāl kā jahāñ
jalva hī jalva chār-sū husn-e-nazar-navāz se
jam-e-farañg kā nasha fikr-o-nazar kī marg hai
dil kā bhalā na ho sakā bāda-e-ḳhūñ-tarāz se
mujh ko fareb de gayā tujh ko fareb de gayā
zahr pilā gayā farañg jām-e-zamāna-sāz se
qalb-o-jigar bhaḌak uThe bāda-e-nau kī aag se
dil ko sakūñ milā hameñ 'tāj' mai-e-hijāz se
Top Urdushayar.com