Irfan Ahmad mir

KHandgi KHush lab tabassum misl-e-arman ho gae

Irfan Ahmad mir

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1977
ḳhandgī ḳhush lab tabassum misl-e-armāñ ho ga.e
ahd-e-be-ġham juuñ hī aayā ham pareshāñ ho ga.e
aage thī ham ko qarābat shab se shab ko ham se thī
un ko thī ḳhalvat se raġhbat ham shabistāñ ho ga.e
haa.e ye ijz-o-niyāz-e-mai-kashāñ bhī kam nahīñ
aah kyā bhar lī ki ham ḳhāk-e-gulistāñ ho ga.e
kyā tirī mahfil kī hai ye irtijālī ai ḳhudā
saañs kī fursat na dī aur ahd-o-paimāñ ho ga.e
kyā kareñ shikva tirī be-e.atidālī se raqīb
vo bulā.e bhī na aa.e aap mehmān ho ga.e
yaad hai ham ko junūn-e-lā-fanā kī laġhzisheñ
ham meñ thī maujeñ kabhī ab dasht-e-vīrāñ ho ga.e
rakh liyā saaqī ne merī ḳhastagī kā ye bharam
shaiḳh kī majlis meñ ham pastī kā sāmāñ ho ga.e
tere kākul kī darāzī ho ki zulfoñ kā sitam
ham ne āñkheñ un se mūñdīñ bhī to zindāñ ho ga.e
terī qāmat par fidā ho kyā ki lab par iftiḳhār
terī añgusht-e-hinā.ī par hī qurbāñ ho ga.e
aah vo bāliġh tirā mash.hūr fahvā-e-kalām
bulbuloñ ne ham ko dekhā kal to hairāñ ho ga.e
Top Urdushayar.com