Irfan Ahmad mir

paband-e-gham-e-ulfat hi rahe go dard-e-dahindan aur sahi

Irfan Ahmad mir

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1977
pāband-e-ġham-e-ulfat hī rahe go dard-e-dahindāñ aur sahī
ashkoñ kī ravānī tham na sakī āñkhoñ ke the armāñ aur sahī
ādāb-e-chaman anjām to de gul se na haTā titlī ko sabā
ulfat kī hayā mahfūz rahe go tujh meñ hoñ tūfāñ aur sahī
ho sa.i-e-karam ġhairoñ pe agar apnoñ pe mazāq-e-ām na ho
ham raah meñ haiñ Thokar hī to de manzil ke hoñ shāyāñ aur sahī
is dasht-e-vafā meñ qais bhī hai aur shaiḳh bhī hai mushtāq-e-milan
jo vasl nahīñ to kyā ġham hai kuchh lamhe ibārāñ aur sahī
ik gul jo girā barnā.ī meñ bulbul ko yahī afsos rahā
mashġhūl rahā ġham-ḳhvārī meñ hoñ fasl-e-bahārāñ aur sahī
andāz-e-sabā se vāqif huuñ aur rabt-e-bahar se bhī bāliġh
ruḳh moḌ ke chalnā jiinā hai ḳhvāh us ke hoñ pāyāñ aur sahī
Top Urdushayar.com