Irfan Ahmad mir

rasm-e-ulfat se hai maqsud-e-wafa ho ki na ho

Irfan Ahmad mir

Srinagar, Jammu and Kashmir, India

1977
rasm-e-ulfat se hai maqsūd-e-vafā ho ki na ho
zaḳhm-e-dil aur ho ḳhūn-basta-e-shifā ho ki na ho
ham jafākār-e-vafā haiñ hameñ matlūb nahīñ
hāsil zulf-e-siyāhkār sazā ho ki na ho
rakh liyā thoḌā sā imkān-e-tamannā ne bharam
dast sharminda rahe chāhe atā ho ki na ho
ho mere qatl meñ qātil kī bhī marzī shāmil
shor-o-ġhul ḳhuub rahe āh-o-baqā ho ki na ho
thī sitam-kārī qismat kī vo shiddat hamdam
tū bhī ranjīda rahā mujh se gilā ho ki na ho
ik ye bandish rahī anjām-e-vafā ko ko kar
ahl-e-duniyā pe merī rasm ravā ho ki na ho
bas ye āshob mohabbat kī davā hai 'bāliġh'
marg-e-āsān kī tamannā ho qazā ho ki na ho
Top Urdushayar.com