nahīñ kuchh faiz hāsil thā zamāne se ḳhafā ho kar
maiñ dīvāna banā huuñ ḳhud hī us but par fanā ho kar
merī duniyā meñ ashk-o-ḳhūñ kā tāñtā rahā har-dam
kabhī terī vafāoñ meñ kabhī tum se judā ho kar
tasavvur meñ bhī pindār-e-vafā kā lutf hāsil thā
tumhārī zulf-e-qātil-e-pesha ke ḳham meñ fanā ho kar
gañvā.ī ashkoñ ne tāsīr jo ḳhūn-e-jigar kī thī
girā jab āb-e-gauhar bhī libās-e-tan pe vā ho kar
yahī duniyā kī tañg-bīnī se miltā hai vafāoñ ko
judā ho jaate haiñ āshiq sanam se bevafā ho kar
vahī be-sūd sī bandish zamāne ke usūloñ kī
vafā ko qaid kar detī haiñ zanjīreñ sazā ho kar
maiñ kin majbūriyoñ kā ab karūñ mātam batā 'bāliġh'
jo paayā be-ḳhudī meñ vo gañvāyā āshnā ho kar