tirā vajūd tirī shaḳhsiyat kahānī kyā
kisī ke kaam na aa.e to zindagānī kyā
havas hai jism kī āñkhoñ se pyaar ġhā.eb hai
badal ga.e haiñ sabhī ishq ke ma.ānī kyā
azal se jaarī hai tā hashr hī chalegā safar
samay ke sāmne dariyāoñ kī ravānī kyā
ye māntā huuñ maiñ mehmāñ ḳhudā kī rahmat hai
ke tum ne dekhī nahīñ merī mezbānī kyā
ḳhumār-e-ishq bhī utregā roz-e-vasl ke baad
rahegī apnī bhalā umr bhar javānī kyā
binā laḌe hī jo tū mushkiloñ se haarā hai
ragoñ meñ terī lahū ban gayā hai paanī kyā
ḳhushī kī chaah meñ kuchh ġham uThāne paḌte haiñ
guloñ kī ḳhaar nahīñ karte pāsbānī kyā