Dinesh Kumar

KHud ko na ai bashar kabhi qismat pe chhoD tu

Dinesh Kumar

Pundri, Haryana, India

1977
ḳhud ko na ai bashar kabhī qismat pe chhoḌ tū
dariyā kī tej dhaar ko himmat se moḌ tū
is zindagī kī raah meñ dushvāriyāñ bhī haiñ
rahbar kā haath chhoḌ na rishtoñ ko toḌ tū
duniyā kī har bulandī ko hai terā intizār
ehsās-e-nā-rasā.ī kī gardan maroḌ tū
mehnat ke dam pe kyā nahīñ kar saktā aadmī
apne lahū kā āḳhirī qatra nichoḌ tū
jo kuchh hai tere paas vahī kaam aa.egā
bārish kī aas meñ kabhī maTkī na phoḌ tū
man kī ḳhushī milegī tū ye nek kaam kar
TuuTe hue diloñ ko kisī tarah jaḌe tū
do-gaz kafan hī ant meñ sab kā nasīb hai
ab chhoḌ bhī 'dinesh' ye daulat kī hoḌ tū
Top Urdushayar.com