apnī manzil kī jo hasrat karnā
ghar se chalne kī bhī himmat karnā
koī tujh ko jo amānat sauñpe
jaan de kar bhī hifāzat karnā
kahnā āsān hai karnā mushkil
dushmanoñ se bhī mohabbat karnā
aaj bachpan meñ hai vo baat kahāñ
vaqt be-vaqt sharārat karnā
tere bhītar kā ḳhudā jaag uThe
itnī shiddat se ibādat karnā
jab use dost kahā hai tum ne
us ke dukh dard meñ shirkat karnā
farz aulād kā hotā hai 'dinesh'
apne maañ baap kī ḳhidmat karnā