Dinesh Kumar

main apne kaam agar waqt par nahin karta

Dinesh Kumar

Pundri, Haryana, India

1977
maiñ apne kaam agar vaqt par nahīñ kartā
to kāmyābī kā parvat bhī sar nahīñ kartā
hasīn ḳhvāb agar dil meñ ghar nahīñ kartā
tavīl raat se maiñ dar-guzar nahīñ kartā
sikhā diyā hai mujhe ġham ne zindagī kā hunar
kisī bhī haal meñ ab aañkh tar nahīñ kartā
gire zamīn pe dastār sar ke jhukne se
maiñ hukmarāñ ko salām is qadar nahīñ kartā
maiñ apne azm kī patvār saath rakhtā huuñ
mire safīne pe tūfāñ asar nahīñ kartā
ġhurūr saath meñ chaltā hai har ghaḌī us ke
vo ab amiir hai tanhā safar nahīñ kartā
diyā umiid kā tū har ghaḌī jalā.e rakh
har ek raat kī kyā rab sahar nahīñ kartā
ajab javāb thā un kā 'dinesh' socheñge
sunā thā ishq koī soch kar nahīñ kartā
Top Urdushayar.com