ḳhabar kahāñ thī mujhe pahle is ḳhazāne kī
ġhamoñ ne raah dikhā.ī sharāb-ḳhāne kī
charāġh-e-dil ne kī hasrat jo muskurāne kī
to khilkhilā ke hañsīñ āñdhiyāñ zamāne kī
maiñ shā.irī kā hunar jāntā nahīñ be-shak
ajiib dhun hai mujhe qāfiya milāne kī
vajūd apnā miTāyā kisī kī chāhat meñ
bas itnī rām-kahānī hai is dīvāne kī
vo ghoñsla bhī banā legā ba.ad meñ apnā
abhī hai fikr parinde ko āb-o-dāne kī
maiñ ashk ban ke girā huuñ ḳhud apnī nazroñ se
kahāñ milegī jagah mujh ko sar chhupāne kī
anāth bachchoñ kī aaheñ savāl kartī haiñ
ḳhudā ko kyā thī zarūrat jahāñ banāne kī