rafta rafta tarjumānī dard kī
shā.irī hai qadrdānī dard kī
zaḳhm-e-dil kā martaba shāhoñ sā hai
aur dil hai rājdhānī dard kī
ham se pūchho tum mazā taklīf kā
ham ne kī hai mezbānī dard kī
muskurāhaT bā-sabab hoñThoñ pe hai
ḳhush-numā ruḳh hai nishānī dard kī
zindagī meñ sab bhale ġhamgīn haiñ
hai alag sab kī kahānī dard kī
ġhamgusāroñ se kinārā kar liyā
dil ne āḳhir baat maanī dard kī
mar ga.e hote 'dinesh' us ke baġhair
jī rahe haiñ mehrbānī dard kī