Dinesh Kumar

roz ke intizam se pahle

Dinesh Kumar

Pundri, Haryana, India

1977
roz ke intizām se pahle
maiñ ne kal pī lī shaam se pahle
ghūñT bharne pe hosh aayā thā
maiñ nashe meñ thā jaam se pahle
kyā karūñ ab zabān se merī
ram nikaltā hai raam se pahle
dil mirā ab sharāb māñge hai
kaam ke baad kaam se pahle
kuchh pilāne kā bandobast karo
tum mire ehtirām se pahle
chashm-e-hasrat ko paḌh ke dekho tum
kyā ye māñge salām se pahle
zindagī ko talāshtā huuñ maiñ
maut ke ehtimām se pahle
Top Urdushayar.com